Thursday, 27 March 2014

Khamoshi Se Bikharna


Khamoshi Se Bikharna Aa Gaya Hai ,
Hamain Ab Khud Ujarrna Aa Gaya Hai ,

Kisi Ko Bewafa Kehte Nahi Hum ,
Hamain Bhi Ab Badalna Aa Gaya Hai ,

Kisi Ki Yaad Main Rote Nahi Hain Hum ,
Hamain Chup Chaap Jalna Aa Gaya Hai ,

Gulabon Ko Tum Apne Pass Rakho ,
Hamain Kaanton Pe Chalna Aa Gaya Hai.

No comments:

Post a Comment