Friday, 21 February 2014

Nighaon k tasadum se ajab taqrar karti hai,

Nighaon k tasadum se ajab taqrar karti hai,
Yaqeen kamil nahi lekin guman hai pyaar karti hai,
Laraz jata hun main yeh soch k kafir na hojaon,
Tabiyaat uski pooja k liye israar karti hai,
Usay maloom hai shayad mera dil hai nshanay par,
Labon se kuch nahi kehti, nazar se waar karti hai,
Main usay puchta hun khuwab mein mujhse muhabbat hai…??
Phir ankhein khol deta hoon jab woh izhar karti hai….!!

No comments:

Post a Comment